ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai hai nirala dhang wan ka aur ajaib taur hai khun-e-dil piti hain wan aur khati hain lakht-e-jigar lutf ke badle uthane ko jafa-o-jaur hai un ki galiyon mein nahin hota guzar hi aql ka hai junun ka band-o-bast aur aashiqi ka daur hai zindagi aur marg shadi aur gham aur nek-o-bad ek san hain sab wahan lekin maqam-e-ghaur hai la-makan hai waste un ki maqam-e-bud-o-bash go ba-zahir kahne ko kalkatta aur lahore hai aah-o-nala ki chala karti hain wan tir-o-sinan jo ki jata hai wahan rahta wahin wo thor hai ibtida mein jite ji mar jaana padta hai wahan par jo mar jata hai wan jita wahin fil-faur hai hun main jaan-o-dil se 'asim' shah-e-khadim par fida ishq ke kishwar mein jis ki shan-o-shaukat aur hai