mujhe udas bhi karte rahe mere andar jo phul khil ke bikharte rahe mere andar mujhe mitati rahi meri khamushi aksar mere hi khwab bikharte rahe mere andar mayassar aaya na un ko libas-e-saut-o-sada mere khayal sanwarte rahe mere andar ab un ki mar se chehra bujha bujha hai mera jo sadme mujh pe guzarte rahe mere andar bade jatan se jalae the kuchh diye main ne jo ek jhonke se darte rahe mere andar wo ashk-e-dil ki zaminon ko kar gae shadab jo qatra qatra utarte rahe mere andar meri numu mein rukawat bane rahe 'amir' jo waswase se ubharte rahe mere andar