mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jati hai kisi ki jitni mujh par mehrbani hoti jati hai khuda malum ye kaisa zamana aata jata hai ki har har sans ab to imtihani hoti jati hai mohabbat karne wala su-e-manzil badhta jata hai jo mushkil aati jati hai wo pani hoti jati hai jidhar jao musibat hai jidhar dekho musibat hai musibat ab to juzw-e-zindagani hoti jati hai khuda ka shukr dil rah-e-wafa mein mitta jata hai jo fani chiz hai wo jawedani hoti jati hai hum apna daur-e-mazi bhulte jate hain ai 'shaarib' qayamat hai haqiqat bhi kahani hoti jati hai