wo siwa yaad aae bhulane ke baad zindagi badh gai zahr khane ke baad dil sulagta raha aashiyane ke baad aag thandi hui ek zamane ke baad raushni ke liye dil jalana pada aisi zulmat badhi tere jaane ke baad jab na kuchh ban pada arz-e-gham ka jawab wo khafa ho gae muskurane ke baad dushmanon se pasheman hona pada doston ka khulus aazmane ke baad ranj had se guzar ke khushi ban gaya ho gae par hum dub jaane ke baad bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht mujh ko kya chahiye tujh ko pane ke baad kaise kaise gile yaad aae 'khumar' un ke aane se qabl un ke jaane ke baad