mujh ko aur kahin jaana tha bas yunhi rasta bhul gaya tha dekh ke tere des ki rachna main ne safar mauquf kiya tha kaisi andheri sham thi us din baadal bhi ghar kar chhaya tha raat ki tufani barish mein tu mujh se milne aaya tha mathe par bundon ke moti aankhon mein kajal hansta tha chandi ka ek phul gale mein hath mein baadal ka tukda tha bhige kapde ki lahron mein kundan sona damak raha tha sabz pahadi ke daman mein us din kitna hangama tha barish ki tirchhi galiyon mein koi charagh liye phirta tha bhigi bhigi khamoshi mein main tere ghar tak sath gaya tha ek tawil safar ka jhonka mujh ko dur liye jata tha