zid hai unhen pura mera arman na karenge munh se jo nahin nikli hai ab han na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallah pareshan na karenge hai zehan mein ek baat tumhaare mutalliq khalwat mein jo puchhoge to pinhan na karenge waiz to banate hain musalman ko kafir afsos ye kafir ko musalman na karenge kyun shukr-guzari ka mujhe shauq hai itna sunta hun wo mujh par koi ehsan na karenge diwana na samjhe hamein wo samjhe sharabi ab chaak kabhi jeb o gareban na karenge wo jaante hain ghair mere ghar mein hai mehman aaenge to mujh par koi ehsan na karenge