mujh ko auron se koi shikwa nahin main ne bhi to khud ko pahchana nahin sar pe aa pahuncha hai suraj karb ka sath apne saya bhi apna nahin shauq-e-manzil hi hai mera khizr-e-rah naqsh-e-pa har mod par milta nahin ho gaya khun-e-hayat ab yun safed jaise mera is se kuchh rishta nahin hai khayal-e-kham wo main ne jise pairahan alfaz ka bakhsha nahin ab hai chehron par naqab-e-maslahat koi chehra dil ka aaina nahin kyun na ho shoala-ba-daman zindagi kis taraf ab aag ka dariya nahin phul ki ek pankhudi kahiye use zindagi ek barg-e-awara nahin zehn-e-'shibli' mein hai us ki gunj bhi waqt ke honton pe jo naghma nahin