bahbud-o-madad ki wo sanad se nikal aae kuchh pet gharibon ki rasad se nikal aae un ko main khuli aankhon se ab dekh raha hun kuchh khwab meri nind ki zad se nikal aae bachpan ki haden tod de chal umr ke ham-rah ab to tere bachche tere qad se nikal aae raste mein zamane ne bichha rakkhe the kante hum apne iradon ki madad se nikal aae mat dhundh mere dost tabassum mere lab par ab kaise ye aaghosh-e-lahad se nikal aae 'khalid' mere jazbaat ki shiddat mein kami thi aansu bhi meri aankhon ki had se nikal aae