mujhko bhi us se ishq tha ulfat ghazab ki thi

mujh ko bhi us se ishq tha ulfat ghazab ki thi
us ko bhi mujh haqir se chahat ghazab ki thi

wo ladki jo nasib pe roti thi raat bhar
galiyon mein us ke husn ki shohrat ghazab ki thi

hanste hue labon ko wo halke se katna
wallah us hasin ki aadat ghazab ki thi

jaane se us ke bagh mein aalam khizan ka tha
sukhe gulon mein qaid wo wahshat ghazab ki thi

khanjar raqib ka tha to tadbir dost ki
maqtal mein 'zoya' yar ki shirkat ghazab ki thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close