qalb mein khwahishen mudgham nahin karne wale ma-siwa rab kahin sar kham nahin karne wale dil ke zakhmon mein tujhe de ke jagah hum dil ko wahshat-o-chain ka sangam nahin karne wale tujh ko jaana hai to ja puri ijazat hai tujhe hum tere baad tera gham nahin karne wale dard ho lakh ya sine se lahu rista ho shabnami aankh ka mausam nahin karne wale hum ana-khwar ana-dar ana wale hain hum mohabbat ko muqaddam nahin karne wale ai dil-e-'zoya' tujhe marne ki jaldi hai to ja hum teri maut ka matam nahin karne wale