mujh ko hoti thi aagahi tanha ki andhere mein raushni tanha sahn mein matami libaade hain lash kamre mein hai padi tanha shahr ke bich lag gaya katba jal gai ek jhonpdi tanha us ko tanhai mar dalegi rah gaya jo bhi aadmi tanha barishon mein wo khelti ladki aaj zine pe ro padi tanha surkh aankhen bata rahin 'arib' raat wo jagti rahi tanha