nahin chaha tha ye kya ho gaya hai

nahin chaha tha ye kya ho gaya hai
use mujh par bharosa ho gaya hai

ye ek duje ka dukh bhi bantte nain
mere logon ko ye kya ho gaya hai

bujha do taq mein jalte diyon ko
idhar dekho ujala ho gaya hai

mayassar hai sabhi ko teri qurbat
to kya tu itna sasta ho gaya hai

bura kahti thi jis ko sari duniya
kaha tum ne to achchha ho gaya hai

uthi jo aankh manzil samne thi
dhara paon to rasta ho gaya hai

falak ko chhu ke laut aain duaen
ye mere sath dhoka ho gaya hai

udhar nikla wo mashkiza utha kar
idhar har shakhs pyasa ho gaya hai

tere bin bhi guzara zindagi ko
sitam ye hai guzara ho gaya hai

mujhe us ki khabar kaise ho 'arib'
mile jo ek arsa ho gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close