mujh ko jahan mein koi dil-ara nahin mila main khud bhi apne gham ka shanasa nahin mila apni talab ke apni gharaz ke mile hain log meri talab ko dekhne wala nahin mila phirta raha hun ku-e-wafa mein tamam umr lekin kahin bhi koi shanasa nahin mila mere uyub par rahi har shakhs ki nigah koi hunar ko dekhne wala nahin mila khanjar-ba-kaf to log mile har jagah magar marham-ba-dast koi masiha nahin mila ye bhi hua ki main ne jo socha nahin hua ye bhi hua ki dil ne jo chaha nahin mila milne gae the raat ko 'shaukat' se hum magar tha wo hujum-e-fikr mein tanha nahin mila