mere mahbub mere dil ko jalaya na karo saz chheda na karo git sunaya na karo jao aabaad karo apni tamannaon ko mujh ko mahfil ka tamashai banaya na karo meri rahon mein jo kante hain to kyun phul milen mere daman ko ulajhne do chhudaya na karo tum ne achchha hi kiya sath hamara na diya bujh chuke hain jo diye un ko jalaya na karo mere jaisa koi pagal na kahin mil jae tum kisi mod pe tanha kabhi jaya na karo ye to duniya hai sabhi qism ke hain log yahan har kisi ke liye tum aankh bichhaya na karo zahr-e-gham pi ke bhi kuchh log jiya karte hain un ko chheda na karo un ko sataya na karo