mujh ko kya faeda gar koi raha mere baad sari makhluq bala se ho fana mere baad mar chuka main to nahin us se mujhe kuchh hasil barse gar pani ki ja aab-e-baqa mere baad chahne walon ka karta hai zamana matam matami rang mein hai zulf-e-rasa mere baad roenge mujh ko mere dost sab aath aath aansu barsegi qabr pe ghanghor ghata mere baad yun hi khilti rahengi sehn-e-chaman mein kaliyan yunhi chalti rahegi baad-e-saba mere baad jaan dene ko na un par koi tayyar hua goya jaan-baz zamane mein na tha mere baad hath se un ke tapakte nahin mai ke qatre ashk-e-khun rota hai ye rang-e-hina mere baad hashr tak koi na rokega sitam-garon ko jo khuda pahle tha wo hi hai khuda mere baad jite-ji dete the jo galiyan mujh ko 'parwin' maghfirat ke liye karte hain dua mere baad