mujh ko lipta kar samundar ro pada sab ne samjha aaj patthar ro pada jaise batware se wo bhi khush na tha phut kar mera sahodar ro pada ghar pahunch kar us ne di wardi utar hans chuka bahar to andar ro pada dekhne walon ne pahchana nahin sungh kar mujh ko mera ghar ro pada main use rota samajh kar khil utha wo mujhe hansta samajh kar ro pada dubne wale ne jaane kya kaha ret par baitha shanawar ro pada