meri zindagi ki sabil par kahin Khaar tha kahin phul tha

meri zindagi ki sabil par kahin khar tha kahin phul tha
kabhi chal ke rukna fuzul tha kabhi ruk ke chalna fuzul tha

tahi-dast main hi khada raha teri rah pe warna ai zindagi
kisi hath mein koi qadr thi kisi sar pe koi usul tha

ghane bargadon ki latafaton pe zawabiton ki fasil thi
mera zakhm jis pe tha munkashif koi khar-dar babul tha

tere sath jo kati zindagi wo teri hi tarah sapat thi
na gham-e-shikast-o-tazi tha na lihaz-e-fath-o-husul tha

mera din tha tujh pe ayan ayan teri shab thi mujh pe khuli khuli
tera qurb mujh ko aziz tha mera hijr tujh ko qubul tha

main bikhar bikhar ke simat gaya tu simat simat ke bikhar gai
mere pichhe tu bhi thi muzmahil tere pichhe main bhi malul tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close