mujh ko malum na tha un se mohabbat hogi dard par dard musibat pe musibat hogi yahi haalat hai to ek roz ye surat hogi qais-o-farhad se badh kar meri wahshat hogi kar ke badnam mujhe aur ye kahna us par aap ke milne se be-shak meri zillat hogi iztirab-e-dil-e-muztar hai bayan se bahar tere didar se hasil ise rahat hogi le khabar jald masiha tu khudara aa kar tere bimar ki warna buri haalat hogi dil ye kahta hai zara chal tu dar-e-jaanan tak sharm kahti hai tere jaane mein zillat hogi main ne puchha ki bhala phir bhi miloge sahib bole munh pher ke han gar hamein fursat hogi aap chal phir ke zara chaal dikhaen to sahi aap ki jaane bala hogi qayamat hogi main to ghul ghul ke yunhi hijr mein jaan dunga 'aziz' us ko malum mere baad haqiqat hogi