mujh ko malum tha main aur sanwar jaunga ghar se niklunga to har samt bikhar jaunga raaz maujon ke samundar ne batae hain mujhe yahan dubunga kahin aur ubhar jaunga abhi sustaunga kuchh der isi dorahe par baad mein sochunga dekhunga kidhar jaunga main to barzakh ke andheron mein jalaunga charagh main nahin wo ki jo maut aai to mar jaunga zindagi yun tujhe rahne nahin dunga be-rang teri taswir mein kuchh rang to bhar jaunga main hun dariya hai rawani meri daim 'betab' koi sailab nahin hun ki utar jaunga