raha asir kai sal naqsh-e-pa ki tarah khuda ka shukr ab aazad hun hawa ki tarah mere habib mujhe izn-e-baryabi de khada hun dar pe tere aah-e-na-rasa ki tarah gunahgar hun ek main hi shahr mein shayad ki baat karte hain sab mujh se parsa ki tarah abhi mila nahin mujh ko suragh manzil ka bhatak raha hun abhi apne rahnuma ki tarah kise khabar ki ye jiddat hai ya siyasat hai jafa kare bhi to karta hai wo wafa ki tarah munafiqat ka naya hai ye dil-fareb andaz mujhe mila mera dushman bhi aashna ki tarah mere zamir ka ye hukm hai mujhe 'rifat' rakhi hai main ne jo is daur mein wafa ki tarah