mujh ko manzur hai marne pe subuk-bari ho aur ahbab ko hai fikr kafan bhaari ho zindagi mein na mila zakhm-e-jigar ko marham khair chadar hi meri qabr ki zangari ho yaad hai roz-e-azal dil jo garan hai kya gham main ne khud kah ke liya tha ki zara bhaari ho aatish-e-husn jawanan-e-chaman bhadka de jo gul-e-surkh ki patti ho wo chingari ho teri rahmat ke sahaare pe gina karta hun tark kar dun agar is mein bhi gunah-gari ho mujh siyahkar ki hai mohr to uthti nahin mehr mere allah na itni bhi giran-bari ho aaj-kal pas hai phir naqd-e-dil-e-zar 'rashid' phir kisi ghairat-e-yusuf ki kharidari ho