mujhko mara hai har ek dard o dawa se pahle

mujh ko mara hai har ek dard o dawa se pahle
di saza ishq ne har jurm-o-khata se pahle

aatish-e-ishq bhadakti hai hawa se pahle
hont julte hain mohabbat mein dua se pahle

fitne barpa hue har ghuncha-e-sar-basta se
khul gaya raaz-e-chaman chaak-e-qaba se pahle

chaal hai baada-e-hasti ka chhalakta hua jam
hum kahan the tere naqsh-e-kaf-e-pa se pahle

ab kami kya hai tere be-sar-o-samanon ko
kuchh na tha teri qasam tark-e-wafa se pahle

ishq-e-bebak ko dawe the bahut khalwat mein
kho diya sara bharam sharm-o-haya se pahle

khud-bakhud chaak hue pairahan-e-lala-o-gul
chal gai kaun hawa baad-e-saba se pahle

ham-safar rah-e-adam mein na ho taron-bhari raat
hum pahunch jaenge is aabla-pa se pahle

parda-e-sharm mein sad-barq-e-tabassum ke nisar
hosh jate rahe nairang-e-haya se pahle

maut ke nam se darte the hum ai shauq-e-hayat
tu ne to mar hi dala tha qaza se pahle

be-takalluf bhi tera husn-e-khud-ara tha kabhi
ek ada aur bhi thi husn-e-ada se pahle

ghaflaten hasti-e-fani ki bata dengi tujhe
jo mera haal tha ehsas-e-fana se pahle

hum unhen pa ke 'firaq' aur bhi kuchh khoe gae
ye takalluf to na the ahd-e-wafa se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close