tegh-e-sitam kabhi hai to sang-e-jafa kabhi yani nasib-e-ishq wahi hai jo tha kabhi saya na tha ki sath mera chhodta kabhi ab bhi wo sath hai jo mere sath tha kabhi aksar to khushk hi meri aankhen rahin magar yun bhi hawa diye se diya jal utha kabhi kuchh kuchh to ibtida-e-asiri mein tha karam phir haal puchhne bhi na aai saba kabhi har phul ki mahak hai chaman mein junun-asar shayad isi jagah koi sahra bhi tha kabhi wo log bhi hain sang-ba-kaf jin se aaj tak puchha na hum ne teri gali ka pata kabhi