mujh ko marne ki koi ujlat na thi khud se milne ki koi surat na thi dekhte kya husn ki nairangiyan aankh jhapkane ki bhi fursat na thi khud-ba-khud ye zakhm lau dene lage mujh ko koi hajat-e-shohrat na thi uth raha hai dil se aahon ka dhuan mahfil-e-shab mahfil-e-ishrat na thi ped patte jal ke khakistar hue dosto wo barish-e-rahmat na thi apne chehre ajnabi hote gae un ki aaankhon mein koi hairat na thi