mujhko mere KHulus ki qimat nahin mili

mujh ko mere khulus ki qimat nahin mili
yani pasina bah gaya ujrat nahin mili

main muskura ke dard sabhi talta raha
kyunki meri kisi se tabiat nahin mili

ya-rab koi khata to nahin mujh se ho gai
muddat hui hai koi musibat nahin mili

kyon dars de rahe ho hamein diniyat par
kya aap ko kahin se bhi rishwat nahin mili

yasrib se karbala to ba-sad khair aa gaya
wapas madina aane ki himmat nahin mili

sab ashk putliyon ki tahon mein utar gae
mulzim ko ek lamhe ki mohlat nahin mili

be-faeda hasin ho agar aaj tak tumhein
aashiq bahut mile hain mohabbat nahin mili

us ko to chhodne ki wajuhat thin bahut
tum se bhi khair meri tabiat nahin mili

jab se sinan ki nok pe quran aa gaya
ahl-e-zamin ko zinda tilawat nahin mili

'musa' ne tur tak ka safar tai kiya magar
phir bhi use khud apni haqiqat nahin mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close