kuchh aisa khel khela zindagi ne

kuchh aisa khel khela zindagi ne
hamesha dur se dekha khushi ne

wo mardon ke barabar aa rahi thi
phir us ko aazmaya chhipkali ne

palat aaega phir sahra se majnun
agar rasta diya teri gali ne

mohalla ghibaten karne laga hai
kisi ka hath kya pakda kisi ne

kahan wo aasman qadmon tale tha
kahan ab la giraya naukri ne

purane zakhm taza ho rahe hain
kai tanke udhede hain khushi ne

jise hum ne makin-e-dil banaya
hamara dil dukhaya hai usi ne

khuda-e-arsh ne dekha zamin par
ye kaisa hath mara matami ne

ana ki dhajjiyan udne lagi hain
khudi ko chir dala be-khudi ne

khuda ki qimaten lagti hain 'musa'
khuda ko bech khana hai sabhi ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close