mujh ko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya daulat-e-do-jahan na di ek dil-e-mubtala diya dil hi nigah-e-naz ka ek ada-shanas tha jalwa-e-barq-e-tur ne tur ko kyun jala diya qabr mein jab kisi tarah dil ki tadap na kam hui yaad-e-khiram-e-naz ne hashr ka aasra diya roz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban pada hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya ab meri lash par huzur maut ko koste to hain aap ko ye bhi hosh hai kis ne kise mita diya dil mein sama ke phir gai aas bandha ke phir gai aaj nigah-e-dost ne kaba bana ke dha diya uf ki gunahgar hum hain to magar khata muaf aath pahar ke dard ne dil hi to hai dukha diya aap hum apni aag mein ai gham-e-ishq jal bujhe aag lage is aag ko phunk diya jala diya yun na kisi tarah kati jab meri zindagi ki raat chhed ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya girya-e-atshin ki dad de shab-e-gham to kaun de khud sar-e-sham kya bujhi shama ne dil bujha diya yas ne dard hi nahin haq to ye hai dawa bhi di 'fani'-e-na-umid ko maut ka aasra diya