mujh ko muaf kijiye rind-e-kharab jaan ke aankhon pe hont rakh diye jam-e-sharab jaan ke hashr mein ai khuda na le mujh se hisab-e-khair-o-shar main ne to sab bhula diya raat ka khwab jaan ke waqt ne az-rah-e-karam bakhsha tha mujh ko taj-e-zar main ne hi khud jhatak diya sar ka azab jaan ke munsif-e-waqt aakhirash tujh ko bhi chup si lag gai mera sawal puchh ke un ka jawab jaan ke aap ko gar na yaad ho apni jafaon ka shumar dekhiye mujh ko ghaur se fard-e-hisab jaan ke apni zaban se kis tarah qissa-e-gham bayan karun padhiye meri nigah ko dil ki kitab jaan ke ye to na kahiye waqt-e-did sab thi khata nasim ki aap ne ru-e-naz pe dali naqab jaan ke