na mandir mein sanam hote na masjid mein khuda hota hamin se ye tamasha hai na hum hote to kya hota na aisi manzilen hotin na aisa rasta hota sambhal kar hum zara chalte to aalam zer-e-pa hota ghata chhati bahaar aati tumhaara tazkira hota phir us ke baad gul khilte ke zakhm-e-dil hara hota zamane ko to bas mashq-e-sitam se lutf lena hai nishane par na hum hote to koi dusra hota tere shan-e-karam ki laj rakh li gham ke maron ne na hota gham to is duniya mein har banda khuda hota musibat ban gae hain ab to ye sanson ke do tinke jala tha jab to pura aashiyana jal gaya hota hamein to dubna hi tha ye hasrat rah gai dil mein kinare aap hote aur safina dubta hota are-o jite-ji dard-e-judai dene wale sun tujhe hum sabr kar lete agar mar ke juda hota bula kar tum ne mahfil mein hamein ghairon se uthwaya hamin khud uth gae hote ishaara kar diya hota tere ahbab tujh se mil ke phir mayus laut aae tujhe 'naushad' kaisi chup lagi kuchh to kaha hota