mujh ko mujh se hi juda karti hai wo mujhe roz naya karti hai baad mein rakhti hai koi marham pahle wo zakhm hara karti hai koi to hai jo mere is dil ko ek khat roz likha karti hai hum wo ujdi hui basti jis ke baddua sath raha karti hai rishta koi bhi ho lekin aurat apna har farz ada karti hai jab bhi hathon mein uthata hun qalam teri taswir bana karti hai main abhi us ko nahin jaan saka jo mere haq mein dua karti hai