mujhko pane ke siwa aur tamanna kya hai

mujh ko pane ke siwa aur tamanna kya hai
mere bare mein bata tera irada kya hai

ishq ki shakh pe aata hai chala jata hai
dil ke panchhi ka bhala thor-thikana kya hai

har nasha kar ke yahan dekh chuka hun yaron
bhul jaane ka use aur tariqa kya hai

teri yaadon mein bahae hain jo aansu itne
aankh bhi puchh rahi hai ki bachaya kya hai

yun mulaqat ka ye daur banae rakhiye
maut kab sath nibha jae bharosa kya hai

hijr ke baad ye socho ki kahan jaoge
hum to mar jaenge waise bhi hamara kya hai

'mit' khwabon ki khumari se nikalne ke baad
us se ek bar to puchho ki batata kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close