mujh ko sham-e-hijr ki ye jalwa-arai bahut mahki mahki yaad teri aur tanhai bahut umr bhar darta raha kam-zarfi-e-ehsas se un ke pahlu mein bhi meri ruh ghabrai bahut dub kar un jhil si aankhon mein jab ghazlen kahin mere in sheron mein tab aai hai gahrai bahut hum hi kyun teri mohabbat mein tamasha ban gae is hayat-e-rang-o-bu mein the tamashai bahut rafta rafta us gali mein be-jhijak jaane laga pahle pahle to mujhe tha khauf-e-ruswai bahut wo khanakte gungunate jhumte gate badan ahd-e-piri mein jawani hum ko yaad aai bahut dahki dahki aag si aanchal mein thi shayad 'shahab' pas se wo shokh jab guzra to aanch aai bahut