chala hai le ke mujhe zauq-e-justuju mera ab intizar kar ai jaan-e-arzu mera main ban saka na tera ye baja sahi lekin kisi ko kyun ye guman ho nahin hai tu mera hawa-e-dasht bahut dur le gai akasr nahin asir-e-chaman zauq-e-rang-o-bu mera shikast-e-dil ki talafi nazar se kya hogi tapak pade na teri aankh se lahu mera meri ghazal ke liye kaun muntazir hai 'rawish' pahunch gaya hai kahan shauq-e-guftugu mera