mujh ko tere khayal se wahshat kabhi na thi is darja be-adab ye tabiat kabhi na thi had hai usi ke pas hai kirdar ki sanad jis ki tamam shahr mein izzat kabhi na thi yaro dua karo ye koi hadsa na ho pahle yun intizar mein lazzat kabhi na thi ya to jafaen aap ki had se guzar gain ya phir hamein sazaon ki aadat kabhi na thi 'jazib' gham-e-hayat ki talkhi zaban pe hai warna hamein jahan se shikayat kabhi na thi