shikwa ab gardish-e-ayyam ka karte kyun ho khwab dekhe the to tabir se darte kyun ho khauf padash ka lafzon mein kahin chhupta hai zikr itna rasan-o-dar ka karte kyun ho tum bhi the zud yaqini ke to mujrim shayad sara ilzam usi shakhs pe dharte kyun ho aafiyat kosh agar ho to bura kya hai magar rah-e-pur-khar-e-mohabbat se guzarte kyun ho jaan-ba-lab ko nahin ifa ki tawaqqoa khud bhi apne wade se bila-wajh mukarte kyun ho