mujh ko teri chahat zinda rakhti hai aur tujhe ye haalat zinda rakhti hai dho dho kar har roz jise thak jata hun us saman ki sangat zinda rakhti hai suraj ne tezab hai chhidka shakhon par gulshan ko kya rangat zinda rakhti hai chadhte suraj ki main puja karta hun yar yahi ek khaslat zinda rakhti hai chum ke hathon ki rekhaen sota hun khwabon ki ye daulat zinda rakhti hai pal-do-pal aangan mein tere rahta hun ek yahi to fursat zinda rakhti hai