purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun dar-o-diwar par kuchh aks-e-na-dida sajata hun mujhe sahra-nawardi ras aati ja rahi hai ab kharabaat-e-chaman mein lala-o-sausan ugata hun mere is shauq se dariya kinare sab shanasa hain jahan tufan ho maujon ka wahan langar uthata hun tumhaari naghma-sanji ki dukan par jo nahin milta wahi ek naghma-e-pur-soz main sab ko sunata hun na jaane kis nagar aabaad ho jati hain wo ja kar main aksar sham ko chhat se patangen jo udata hun pade hain aable lekin qadam phir bhi hain barjasta main kab se lash apni apne kandhon par uthata hun