mujh ko to gir ke marna hai baqi ko kya karna hai shahr hai chehron ki tamsil sab ka rang utarna hai waqt hai wo natak jis mein sab ko dara kar darna hai mere naqsh-e-sani ko mujh mein hi se ubharna hai kaisi talafi kya tadbir karna hai aur bharna hai jo nahin guzra hai ab tak wo lamha to guzarna hai apne guman ka rang tha main ab ye rang bikharna hai hum do pae hain so hamein mez pe ja kar charna hai chahe hum kuchh bhi kar len hum aison ko sudharna hai hum tum hain ek lamhe ke phir bhi wada karna hai