mujh ko ye fikr kab hai ki saya kahan gaya suraj ko ro raha hun khudaya kahan gaya phir aaine mein khun dikhai diya mujhe aankhon mein aa gaya to chhupaya kahan gaya aawaz de raha tha koi mujh ko khwab mein lekin khabar nahin ki bulaya kahan gaya kitne charagh ghar mein jalae gae na puchh ghar aap jal gaya hai jalaya kahan gaya ye bhi khabar nahin hai ki hamrah kaun hai puchha kahan gaya hai bataya kahan gaya wo bhi badal gaya hai mujhe chhodne ke baad mujh se bhi apne aap mein aaya kahan gaya tujh ko ganwa diya hai magar apne aap ko barbaad kar diya hai ganwaya kahan gaya