rakht-e-safar hai is mein qarina bhi chahiye aankhen bhi chahiye dil-e-bina bhi chahiye un ki gali mein ek mahina guzar kar kahna ki aur ek mahina bhi chahiye mahkega un ke dar pe ki zakhm-e-dahan hai ye wapas jab aao to ise sina bhi chahiye rona to chahiye hai ki dahliz un ki hai rone ka rone walo qarina bhi chahiye daulat mili hai dil ki to rakkho sambhaal kar is ke liye dimagh bhi sina bhi chahiye dil kah raha tha aur ghadi thi qubul ki makka bhi chahiye hai madina bhi chahiye