mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main git hota hua tu git sunata hua main ek kuze ke tasawwur se jude hum donon naqsh deta hua tu chaak ghumata hua main tum banao kisi taswir mein koi rasta main banata hun kahin dur se aata hua main ek taswir ki takmil ke hum do pahlu rang bharta hua tu rang banata hua main mujh ko le jae kahin dur bahati hui tu tujh ko le jaun kahin dur udata hua main ek ibarat hai jo tahrir nahin ho pai mujh ko likhta hua tu tujh ko mitata hua main mere sine mein kahin khud ko chhupata hua tu tere sine se tera dard churaata hua main kanch ka ho ke mere aage bikharta hua tu kirchiyon ko teri palkon se uthata hua main