pahle hamari aankh mein binai aai thi phir is ke baad quwwat-e-goyai aai thi main apni khastagi se hua aur paedar meri thakan se mujh mein tawanai aai thi dil aaj sham se hi use dhundne laga kal jis ke baad kamre mein tanhai aai thi wo kis ki naghmagi thi jo daron saron mein thi rangon mein kis ke rang se ranai aai thi phir yun hua ki us ko tamannai kar liya meri taraf jo chashm-e-tamashai aai thi