mujh se bazi le gaya phir ba-khuda mera nasib main sisakta rah gaya hansta raha mera nasib zindagi ke nam par jab zindagi mujh ko mili imtihan-dar-imtihan likkha gaya mera nasib main to rishton ki tamazat se jhulas kar rah gaya aur us par tir ki surat laga mera nasib kya samajhta main bhala mahdud hun apne tain ki saza hai ya kisi ki bad-dua mera nasib hasraton ne la ke phenka jab mujhe bazar mein boliyan lagti rahin bikta raha mera nasib chaak par kuza-gari ke baad us khattat ne hath ki uljhi lakiron par likha mera nasib jab kahin ghera ghamon ki aandhiyon ne ba-khuda daldalon mein le ke mujh ko gir pada mera nasib kab talak pita rahun ai zindagi main jam-e-gham kab talak mujh se rahe ka yun khafa mera nasib ek qadam main ne uthaya tod kar zanjir-e-pa bichh gaya kanton ki surat ja-ba-ja mera nasib hai sabab mauj-e-'nasimi' ki rawani ka yahi dastaras mein jo nahin mere khuda mera nasib