mujh se chunan-chunin na karo main nashe main hun main jo kahun nahin na karo main nashe mein hun insan nashe mein ho to wo chhupta nahin kabhi har-chand tum yaqin na karo main nashe mein hun ye waqt hai farakh-dili ke suluk ka tang apni aastin na karo main nashe mein hun be-ikhtiyar chum na lun main kahin inhen aankhon ko khashmagin na karo main nashe mein hun har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-khuda aanchal mere qarin na karo main nashe mein hun nashshe mein surkh rang tahi-az-khatar nahi? honton ko ahmarin na karo main nashe mein hun dekho main kah raha hun tumhein pai-ba-pai 'adam' mujh ko bahut hazin na karo main nashe mein hun