dariya-e-ashiqi mein jo the ghat ghat sanp le gae sapere wan se bahut bhar ke bat sanp az-bas-ki us ke zahr pe ghaalib hai zahr-e-ishq mar jawe hai wahin tere aashiq ko kat sanp dariya mein sar ke baal koi dho gaya magar lahron ke ho rahe hain jo yun bara bat sanp namard se bhala jatai khak phir hui samjha jab apni bhains ki rassi ko jat sanp tahrik-e-zulf se teri baad-e-sumum ne kahte hain dasht-o-dar mein diye bat bat sanp the jis zamin pe sandal-e-pa ke tere nishan jite hain ab wahin ki zara khak chat sanp sahil pe us ki jad-e-musalsal ke aks se dariya mein dhobiyon ko nazar aae pat sanp bangle mein ja ke khak rahe koi 'mushafi' kar den hain aadmi ka yahan ji uchat sanp