mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai wo jo hue firdaus-badar taqsir thi wo aadam ki magar mera azab-e-dar-badri meri na-karda-gunahi hai sang to koi badh ke uthao shakh-e-samar kuchh dur nahin jis ko bulandi samjhe ho un hathon ki kotahi hai phir koi manzar phir wahi gardish kya kije ai ku-e-nigar mere liye zanjir-e-gulu meri aawara-nigahi hai bahr-e-khuda khamosh raho bas dekhte jao ahl-e-nazar kya laghzida-qadam hain us ke kya duzdida-nigahi hai did ke qabil hai to sahi 'majruh' teri mastana-rawi gard-e-hawa hai rakht-e-safar raste ka shajar ham-rahi hai