main ek aatish-e-gham ki khabar ke pichhe hun usi se tute hue ek sharar ke pichhe hun bahut hi ajnabi dastak hai sun raha hun use aur ek dar mein giraftar dar ke pichhe hun kise tu dhundhta phirta hai sard kamron mein main dhup se bhare maidan mein ghar ke pichhe hun ziyaada thik hai wamandgi use kahna jo kah raha hun ki main rahguzar ke pichhe hun hain mah-o-sal hi aise samajh nahin aati ki aage sham ke hon ya sahar ke pichhe hon ye khunin khel hai roz-e-azal se jari hai wo meri jaan ke main us ke sar ke pichhe hun ye tir-e-marg hai mumkin nikalna is se nahin yahin kahin main kisi ek dar ke pichhe hun hasab se nam se izzat se mujh ko kya lena hawas ka banda hun bas mal-o-zar ke pichhe hun mere kalam mein 'shahin' na kar talash mujhe chhupa hua kisi dast-e-hunar ke pichhe hun