mujh se kahte hain ki main zulm sahun kuchh na kahun harf-e-haq sirf kitabon mein padhun kuchh na kahun han wahi hath mere jaison ka qatil hai magar main usi hath ko mazbut karun kuchh na kahun dusra kaun jise pesh karun sar apna dushman-e-jaan hi sahi qadr karun kuchh na kahun