mujh se kyun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka jaanta hun muddaa main aap ki taqrir ka sath gar sone na doge tum ko bhi nind aa chuki main to aadi ho gaya hun nala-e-shab-gir ka apne matlab ki samajh kar ho gae the hum to khush kyun mukarte ho yahi matlab hai us taqrir ka ahd kis ka, aap jo kahte use sach jaanta kya karun qail hun main to ghair ki tadbir ka kuchh asar un par hua to kya hi dete hain fareb kahte hain qail nahin main aah-e-be-tasir ka ye to farmao ki kya us ko karunga main muaf mere aage zikr kyun hai ghair ki taqsir ka ek din sun kar chale aae the wo be-sakhta aasman par hai dimagh ab aah-e-be-tasir ka panja-e-ulfat se pakda hai use dil ne mere sahl hai qatil koi pahlu se khinchna tir ka koshish-e-beja thi ye kuchh e'timad-e-aql par ab ye darja hai ki qail hi nahin tadbir ka jitne sar hain utne saude kya khata naseh meri main hi ek qaidi nahin us zulf-e-alam-gir ka kya kaha tha main ne tum kya samjhe is ka kya ilaj tum hi munsif ho ye matlab tha meri taqrir ka ye mera likkha ki jo tadbir ki ulti padi aur is par bhi mujhe shikwa nahin taqdir ka jazb-e-ulfat is ko kahte hain kahin pad jae hath zakhm dil par hi pahunchta hai teri shamshir ka mujh ko us ke pas jaana us mein jo kuchh ho 'nizam' ek matlab jaanta hun zillat o tauqir ka