waise tumhein to aata nazar sab durust hai chehre hain kyun udas agar sab durust hai jale tane hue hain darichon mein shahr ke kahta hai shahr-e-yar magar sab durust hai hal yun hua hai tishnagi-e-tegh ka sawal maqtal mein ho kisi ka bhi sar sab durust hai maqsad to tajraba hai dawa ka shifa nahin kuchh bhi mariz par ho asar sab durust hai jannat tu apni dekh udhar kuchh kami na ho dozakh ki fikr chhod idhar sab durust hai ba-ikhtiyar jo bhi ho us ki yahi hai soch hai is mein jo bhi aib o hunar sab durust hai sansen ata hain jis ki wasael bhi us ki den phir jaise zindagi ho basar sab durust hai bas ye hua ki chhupte hi akhbar bik gaya sachchi hai ya ki jhuti khabar sab durust hai